Translate

Koi To Ho

Koi mera ho,

Buss mera ho,

Jisko toot kar pyar karoon,

Apni chahat ka izhaar karoon,

Jub woh roothay to manaoon mein ,

Pyar say dekhay woh to sharmaoon mein,

Uski baanhon mein hur pal guzaroon,

Subha, shaam, din, aur raat guzaroon,

Jisko apnay galay se lagaoon mein,

Jiski ankhon mein dekhte he doob jaaon mein,

Aik din to usko dil mein basaoongi,

Kuch bhi hojaye lekin usko mein apnaoongi" !!

Wehshat

......>>>>>Wehshat>>>>>.......

Mohabbat se bhi nafrat ho gai hai
Humein yeh Kaisi wehshat ho gai hai,

Fana kar daloon khud ko aur sab ko
Meri Yeh Kaisi Fitart Hogai hai,

Jahan matlab wahan mohabbat miley gi
Tijarat Si mohabbat ho gai hai,

Mujhey wehshat thi jis dewangi se
Wohi phir meri qismat ho gai hai....

Wo Apne Ishq Mai

Woh apne ishq mai kaisa kamal rakhta hai,

Ke berukhi mai bhi mera khayal rakhta hai,

Jo aj mera nahi, woh kal mera hoga,

Ke her zamana urooj -o-zawaal rakhta hai....
~~~~~~~~~****~~~~~~~~~

Zindagi say pyar nahi

Zindagi say pyar nahi ,
.
Maut say inkar nahi,
.
Kon hai aisa dunya main,
.
Jo es kambakht ishq ka shikaar nahi.....

Tooota Dil

bena dekhay tare tasveer bana sakte hoon,
.
.
.
bena pochay teray dil ka hal batasakte hoon,
.
.
.
itna taqat hai mare mohabbat main,
.
.
.
kay aapne ankh ka anso tere ankh main gera sakte hoon.....

Manzile Bhi Uski Thi

Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !

Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
........****.......

Teri Ruswaion Main

Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai,

Kabhi is mehfil mein akar to dekho
Tanhaeion mein ajab ik maza hai,

Soraj ko dobhte dekha to samjha
Pasteon mein ajab ik maza hai,

Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam
In inyaton mein ajab ik maza hai,

Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai,

Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai,

Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai,

Na kehna koi bewafa un ko yaro
In bewafaion mein ajab ik maza hai,

Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai,

Apni hi dhun mein guzari hai
Meri zindagi mein ajab ik maza hai...

Jee Chahta Hai

"" Jee Chahta Hai ""

Abb had say guzar janay ko jee chahta hay
Yoonhi bas bikhar janay ko jee chahta hay

Katratay hain jis simt main janay say sab hi
Hamko to udhar janay ko jee chahta hay

Mushkil nahin hay zindagi laikin phir bhi
Aksar yoonhi sustanay ko jee chahta hay

Go bhool gaiy who mujhay laikin abb bhi
Aksar ussi ghar janay ko jee chahta hay

Samjhota nahin karna who halat say phir bhi
Taiwar woh kay dar janay ko jee chahta hay

Aksar na sahi barson main milna hi sahi
Un melfilon main phir janay ko jee chahta hay

Kehna woh iss SHAN say batain woh un kahi
Un yadoon main kho janay ko jee chahta hay

Badalna aata nahi hum ko mausamoo ki tarha,
Her ek roop main tera intezaar karte hain,

Na tum samait sakoge jisse qayamat tak,
Qasam tumhari tumhain itna Pyaar karte hain

********************************


khuli ankhon say daikhay saray mosam

bus ab sonay ko je chahta hai

usay pana to zindagi hai
usay khonay ko je chahta hai