"Qayam Karti Thi WO Mujh Mein Soofiyon Ki Tarah"By Wasih Shah
Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi
Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi
Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi
Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi
Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi
Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi
Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi
Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi
Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi
Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ”Wasi”
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi...