Translate

Teri Yaad

Woh puranni yadieen, woh teri bateein,
Woh tera anjana pan, hai humee satatee.
Kareen shikwa kisi se ke kiya?, bane tu hi jo anjan,
Kiya milee hai koshi ker ke humee tum ko pareshan.
Tum shaid bin kahee bateen nahin samajte,
Ya kiya janee ke shaid tum sirf ho banetee.
Jo bhi ho aab hum kiya kareen iss dil ka,
Jo ho giya terra, na raha mere khood ka.
Kiya hai yeh wadaa apne app se,
Ki na kareen ge izhar kabhi tuj se
Mangtee hai tujhe apni herr dua mein,
Ki tu hi tu hai meri har sansoon mein.
Na jo tu mila mujhe, shikwa karee ge nahin,
Bus dua yeh hai meri ke kosh rahe tu sahee.

Aaj Kuch Manga Hay Tujeh Say

Aaj kuch maangna hay tum say
Aaj kuch lena hay tum say

Aaj kuch dena hay tum ko
Na he koi khuwahish, tamanna na arzoo

Bas aik hi chah hai apni aur aik hi justaju
Ham maangtay hain tum say,

teray derd o gham wo saarey Jo rula gaye hain
tuj ko neenden uda gaye hain

Ham hain shareek e gham teray pehchaan to sahi
Ham bhi hain saath teray tu jaan to sahi

Ker bojh apnay dil ka halka hamen bataday
ye fikar ye udasi kioon hay zara sunaday

Laaye hain ham baharain teray hi waastay
ye rang aur ye khushboo teray hi waastey

Aaj kuch maangtay hain tum say
Aaj kuch maangna hay tum say ...........

Woh khar khar hai shakh e Gulab ki manand....
Main zakhm zakhm hoon phir bhi galey lagaoon use...


**************************************

KAMALA-E-ZABT

Kamal-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi
Mein apne hathon se us ki dulhan sajaoon gi

Sapurd ker ke usey chandni ke hathon
Mein apne ghar ke andhairon ko laut aoun gi

Badan ke karb ko woh bhee samajh na paye ga
Mein dil mein ro'oon gi, aankhon mein muskaroon gi

Woh kaya gaya ke rafaqat ke sare lutf gae
Mein kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi

Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin
Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi

Bichha diya tha gulabon ke sath apna wajood
Woh so ke uthey to khawabon ki rakh uthaoon gi

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi
************************** ****************************

!~!...Kyun KaroUn...!~!

!~!...Kyun KaroUn...!~!

Ho ker Zameen Ka, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon

Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon

Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mili Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon

Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon

Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teree Aankh Se Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon

Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon

Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon

Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon

Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon

Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon

Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon

Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon

Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoon
************************************************************************