Poetry is a form of literature that uses aesthetic and often rhythmic qualities of language − such as phonaesthetics, sound symbolism, and metre − to evoke meanings in addition to, or in place of, a prosaic ostensible meaning. A poem is a literary composition, written by a poet, utilising this principle. Source : Wikipedia
Translate
Bass Itna Kehna Hai
Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge
**********************************************

Kaash
Kaash ke mujh se bhi kisi ko pyaar hota,
Kaash ke mere liye bhi kisi ka dil bekarar hota,
Kaash ke mujhe bhi koi apni yaadoon mein laata,
Apne khowaboon me basata ,ankhon me chupaata.
Kaash ke mujh se bhi kabhi koi izhaar karta ,
Kaash ke mere liye bhi koi bechaain hota,
Kaash ke mujhe bhi koi apne dil mein utarata ,
Apni saansoon me samata , meri duniya ko mehkaata.
Kaash ke mere bhi sapne kabhi sach hote,
Kaash ke mere bhi armaan poore hote
Kaash ke mujhe bhi kabhi mil jaata koi,
Zindagi pyaar bina adhuri si lagti hai,
Aik saathi bina suni suni hoti hai,
Kaash ke mujhe bhi kisi ka saath mila hota,
Kaash ke mere zindagi mein bhi kisi ka saath hota
**************************************************

WADA
wada to sab hee kartae hain
irada to sab hee kartae hain
jazbay to sab hee rakhtay hain
nibha ya kuch hee karatay hain
wada to sab hee kartay hain
aksar ghalti bhe hoti hai wado mai
yai bat kam hee bataya kartay hain
bin kisi k jena mushkal hai zaroor
ye zeher judaye nibhaya sab hi kartae hain
wada tou sab hee kart ay hain
kion yaqeen rakhtay hai un wadou per
jo toutnae per rulaya hi kartay hain
wada to sab hee kartay hain
irada to sab hee kartay hain
han magar bin wadae k bhi nahi hai maza
han AZMI yai jhoot dil sai ham choupaya kartay hain

Subscribe to:
Posts (Atom)