Translate

Woh Nahi Tha Meri Tabiyat Ka.....


Woh Nahi Tha Meri Tabiyat Ka....

Na rawa hai sukhan shikayat ka...woh nahi tha meri tabiyat ka...

Dasht mein shehr ho gaye abaad...Ab zamana nahi hai wehshat ka...

Waqt hai aur koi Kaam nahi...Buss Maza le raha hun Fursat ka...

Main agar tazkra krun to krun...Kiss ki zulfon ka, kiss ki qaamat ka...

Mar gaye khwaab sab ki aankhon k...Her taraf hai gila haqeeqat ka...

An mujhay dhyaan he nahi aata...Apnay honay ka, apni haalat ka...

Tujh ko paa ker zyaan hua hum ko...Tu nahi tha hamari qeemat ka...

Subh se shaam tak meri duniya...Aik manzar hai us ki rukhsat ka...

Kya Btaon k zindagi kya thi...Khwaab thi, Jaagnay ki haalat ka...

Kehtay hain Intehaaye-e-ishq jisay...Ik faqat khail hai Murawwat ka...

Aa gae Darmyaan Rooh ki baat...Zikr tha Jism ki zrurat ka...

Thook ker khoon Rung mein rehna...Main hunar-mannd hun aziyyat ka...

Zindagi ki ghazal tamaam hui...Qaafiya reh gya mohabbat ka...

 By John Elia.....

My room is silent now..


My room is silent now..
And you’re the only thing on my mind..
There’s so much that I wanted to change..
How I wish I could just rewind..

I wish I could go back in time..
Back to when we were still in school..
When i first saw you with my own eyes..
And instantly fell like a fool..

Back to laughing till we cried..
And listening to our favourite song..
“A thousand years” a thousand times..
I felt with you was where I belonged..

But now those times are over..
They’re just memories put on display..
And I’m alone in my room..
Trying to throw these old memories away..

Love


Love

Study the course you love
Pursue the career you love
Work on the job you love
and love the love you love

You may search it in a far away land
Only to find it that it's just near your hand
With real love, vices rot and virtues bloom
Spreading its sweet smelling perfume

Like snow before the sun
fears and worries melt
anxieties fade
when expose to love's warmth

A honey to the soul
is love to your home
True love makes life enjoyable
so hear and give heed to its call

think good and life will be good
speak good and it may uplift someone's mood
think and speak with love and you will be in a happy world

by~Champs Ulysses Cabinatan

Qayam Karti Thi WO Mujh Mein Soofiyon Ki Tarah


"Qayam Karti Thi WO Mujh Mein Soofiyon Ki Tarah"
By Wasih Shah


Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi

Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi

Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi

Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ”Wasi”
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi...