Translate

KAMALA-E-ZABT

Kamal-E-zabt ko khud bhee to aazmaoon gi
Mein apne hathon se us ki dulhan sajaoon gi

Sapurd ker ke usey chandni ke hathon
Mein apne ghar ke andhairon ko laut aoun gi

Badan ke karb ko woh bhee samajh na paye ga
Mein dil mein ro'oon gi, aankhon mein muskaroon gi

Woh kaya gaya ke rafaqat ke sare lutf gae
Mein kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi

Woh eik rishta-e-be-naam bhee nahi lekin
Mein ab bhee us ke isharon pe sar jhukaoon gi

Bichha diya tha gulabon ke sath apna wajood
Woh so ke uthey to khawabon ki rakh uthaoon gi

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha ke mein us ko bhool jaoon gi
************************** ****************************