Translate

Manzile Bhi Uski Thi

Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !

Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
........****.......