Translate

Teri Ruswaion Main

Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai,

Kabhi is mehfil mein akar to dekho
Tanhaeion mein ajab ik maza hai,

Soraj ko dobhte dekha to samjha
Pasteon mein ajab ik maza hai,

Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam
In inyaton mein ajab ik maza hai,

Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai,

Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai,

Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai,

Na kehna koi bewafa un ko yaro
In bewafaion mein ajab ik maza hai,

Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai,

Apni hi dhun mein guzari hai
Meri zindagi mein ajab ik maza hai...