Translate

Zindagi say pyar nahi

Zindagi say pyar nahi ,
.
Maut say inkar nahi,
.
Kon hai aisa dunya main,
.
Jo es kambakht ishq ka shikaar nahi.....

Tooota Dil

bena dekhay tare tasveer bana sakte hoon,
.
.
.
bena pochay teray dil ka hal batasakte hoon,
.
.
.
itna taqat hai mare mohabbat main,
.
.
.
kay aapne ankh ka anso tere ankh main gera sakte hoon.....

Manzile Bhi Uski Thi

Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !

Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
........****.......

Teri Ruswaion Main

Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai,

Kabhi is mehfil mein akar to dekho
Tanhaeion mein ajab ik maza hai,

Soraj ko dobhte dekha to samjha
Pasteon mein ajab ik maza hai,

Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam
In inyaton mein ajab ik maza hai,

Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai,

Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai,

Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai,

Na kehna koi bewafa un ko yaro
In bewafaion mein ajab ik maza hai,

Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai,

Apni hi dhun mein guzari hai
Meri zindagi mein ajab ik maza hai...